People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 25 *

Chori Chori Dekhe
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: EMI(2008)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/EMI/Chori-Chori/HSkpVzIAAWM
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase dil najarana
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase dil najarana
hay allah mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
sara alam mujhape fida
meri inn nigaho ka sab pe hai nasha, sara alam mujhape fida
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase

mere hai mastane kitne, shamma parwane kitne
sabki hai mujhape hi najar
lekin main mashuka kiski, jan-e-jan mehbuba kiski
yeh toh hai mujhako hi khabar
mera jadu, jadu chhaya hai mehfil pe, dilwalon pe, matwalon pe
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase dil najarana
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase dil najarana
hay allah mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
sara alam mujhape fida
meri in nigaho ka sab pe hai nasha, sara alam mujhape fida
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase

lakho mein pehchana jaye, aisa ek shehjada aye
bhar le baho mein mujhe
khwabo ki saugate deke, mithi mithi bate karke
le le panaho mein mujhe
mujhe chhu le, chhu le ankho se honto se
chahat ka hun main paimana
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase
chori chori dekhe mujhko har diwana
chupake chupake mange mujhase dil najarana
hay allah mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
sara alam mujhape fida
meri in nigaho ka sab pe hai nasha, sara alam mujhape fida
mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
sara alam mujhape fida
meri in nigaho ka sab pe hai nasha, sara alam mujhape fida
Chori Chori Dekhe(Remix)
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: EMI(2008)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/EMI/Chori-Chori-Remix/IioeAhY
(chori chori dekhe mujhko har deewaana
chupake chupake maange mujhase dil najaraana) - (2)
haay allaah mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
saara aalam mujhape fida
meri inn nigaaho ka sab pe hai nasha, saara aalam mujhape fida
chori chori dekhe mujhko har deewaana
chupake chupake maange mujhase

mere hai mastaane kitne, shamma parwaane kitne
sabki hai mujhape hi najar
lekin main maashuka kiski, jaan-e-jaan mehbooba kiski
yeh toh hai mujhako hi khabar
mera jaadu, jaadu chhaaya hai mehfil pe, dilwaalon pe, matwaalon pe
(chori chori dekhe mujhko har deewaana
chupake chupake maange mujhase dil najaraana) - (2)
haay allaah mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
saara aalam mujhape fida
meri inn nigaaho ka sab pe hai nasha, saara aalam mujhape fida
chori chori dekhe mujhko har deewaana
chupake chupake maange mujhase

laakhon mein pehchaana jaaye, aisa ek shehjaada aaye
bhar le baahon mein mujhe
khwaabon ki saugaate deke, meethi meethi baatein karke
le le panaaho mein mujhe
mujhe chhu le, chhu le aankhon se honton se
chaahat ka hoon main paimaana
chori chori dekhe mujhko har deewaana
chupake chupake maange mujhase
chori chori dekhe mujhko har deewaana
chupake chupake maange mujhase dil najaraana
haay allaah (mujhame hai kashish kaisi, kaisi hai ada
saara aalam mujhape fida
meri inn nigaaho ka sab pe hai nasha, saara aalam mujhape fida) - (2)
Tum Ho Mera Pyar
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haunted/Tum-Ho-Mera-Pyar/RCY0
Video:
jism se rooh tak, hai tumhare nishaan
bann gaye tum meri zindagi
jism se rooh tak, hai tumhare nishaan
bann gaye tum meri zindagi
jab se tum ho mile, jaan-o-dil hai khile
tumse waah basta hai, har khushi
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
tumse hai nasha, tumse hai khumar, tumko hi sajaya maine khwabo me
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me

jab mile nahi the tum, na thi khushiya na gham
tum mile to badle zindagi ke ye mausam
ho sunn raha hai jo dua mera rab hai tujhme
har jagah tha kuch kam mila mujhe sab tujhme
raat din dekhna tujhko aadat meri
yu tujhe chahna hai ibadat meri
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
tumse hai nasha, tumse hai khumar, tumko hi sajaya maine khwaabo me
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
jism se rooh tak, hai tumhare nishaan
bann gaye tum meri zindagi

aankhe sehra meri, tu hai bheega ik baadal
meri khwaisho me tu, teri liye main pagal
tu hai behti nadi, dooba dooba mai sahil
mai hu tujh me fanaa, tu hi mera hai haasil
jab se tu o sanam, meri baho me hai
ik ujala sa dil, ki panaho me hai
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
tumse hai nasha, tumse hai khumar, tumko hi sajaya maine khwabo me
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
tumse hai nasha, tumse hai khumar, tumko hi sajaya maine khwaabo me
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
tumse hai nasha, tumse hai khumar, tumko hi sajaya maine khwaabo me
tum ho mera pyar, tumse hai karar, tumko hi basaya maine yaado me
tumse hai nasha, tumse hai khumar, tumko hi sajaya maine khwaabo me
Aye Bekhabar Tujhe Yaad Kare
Singer: KK
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zeher(2005)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zeher/Aye-Bekhabar/PSE,eTIIZ1A
Video:
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
mera dil tere pyaar me aahe bhare ae bekhabar ae bekhabar
tujhe yaad kare fariyaad kare ae bekhabar ae bekhabar
mera dil tere pyaar me aahe bhare
tujhe yaad kare fariyaad kare
kabhi tu bhi pyar se dekh zara mere dil ko ek nazar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar

tujhe pata kya ke mere dil me hai tere khaatir junoon kitna
main apne baare me ruk ke sochu nahin hai ab to sakoon itna
jeeta hu magar jeeta bhi nahi, marta hu magar marta bhi nahi
tere gham ne panah hone ke liye peeta hu main zeher
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar

daba huwa tha jo mere seene ne tujhko dekha to dard ughra
isi bhimar humse bhar na paaya teri judaai ka zakhm gehra
seene me pyaar machalta hai, aankho se dard chalakta hai
saahil ki tarah kaante mujhko chaahat ki har leher
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar
ae bekhabar ae bekhabar ae bakhabar ae bekhabar

mera dil tere pyaar me aahe bhare ae bekhabar ae bekhabar
tujhe yaad kare par yaad kare ae bekhabar ae bekhabar
mera dil tere pyaar me aahe bhare
tujhe yaad kare par yaad kare
kabhi tu bhi pyaar se dekh zara mere dil ko ek nazar
Jaane Ja Jaane Ja
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zeher(2005)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zeher/Jaane-Ja-Jane-Ja/HzpfHC5dRmU
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke, main jaoon kahan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke, main jaoon kahan
ho ke judaa hai saath bhi, tu door bhi tu paas bhi
jaise zameen se hai yeh aasmaan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan

us se alag ho ke bhi main, us se alag ho na paaya
dharti pe jitna gagan hai, utna hi hai tera saaya
us se alag ho ke bhi main, us se alag ho na paaya
dharti pe jitna gagan hai, utna hi hai tera saaya
yaaden teri baaten teri, din hain tere raaten teri
paoon tujhe hi main jaoon jahan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan

haanthon se haanth hai chhoote, dil se bhi chhoote nahin hain
rishton ke phool abhi tak, shaakhon se kaate nahin hain
haanthon se haanth hai chhoote, dil se bhi chhoote nahin hain
rishton ke phool abhi tak, shaakhon se kaate nahin hain
khushiyaan teri gham hain tere, dil me mere mausam tere
mehka tujhi se hai yeh gulsitaan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan

ho ke judaa hai saath bhi, tu door bhi tu paas bhi
jaise zameen se hai yeh aasmaan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan
jaan-e-jaan jaan-e-jaan jaan-e-jaan
tujhse bhichad ke main jaoon kahan
Saanson Ko
Singer: Arijit Singh
Music: Sharib Toshi
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zid(2014)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zid/Saanson-Ko/HBo0Azl3XUM
saanso ko jeene ka ishaara mil gaya
duba main tujhme to kinara mil gaya
saanso ko jeene ka ishara mil gaya
zindagi ka pata dobara mil gaya
tu mila to khuda ka sahaara mil gaya
tu mila to khuda ka sahaara mil gaya
gumzada gumzada dil ye tha gumzada
bin tere, bin tere, dil ye tha gumzada

aaram de tu mujhe, barso ka hu main thaka
palko pe raate liye tere vaaste main jaga
aaram de tu mujhe, barso ka hu main thaka
palko pe raate liye tere vaaste main jaga
mere har dard ki gehraai ko mehsus karta hai tu
teri aankho se gham tera mujhe maalum hone laga
tu mila to khuda ka sahaara mil gaya
tu mila to khuda ka sahaara mil gaya

main raaz tujhse kahu humraz ban ja zara
karni hai kuch guftgu alfaaz ban ja zara
main raaz tujhse kahu humraz ban ja zara
karni hai kuch guftgu alfaaz ban ja zara
juda jab se hua tere bina khamosh rehta hu main
labon ke paas aa ab tu meri aavaaz ban ja zara
tu mila to khuda ka sahara mil gaya
tu mila to khuda ka sahara mil gaya
gumzada gumzada dil ye tha gumzada
bin tere, bin tere, dil ye tha gumzada
Tu Zaroori
Music: Sharib Toshi
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zid(2014)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zid/Tu-Zaroori/Gy4HXQB-fVQ
aisa laga mujhe pehli dafaa tanha main ho gayi yaara
ho aisa laga mujhe pehli dafaa tanha main ho gayi yaara
hu pareshan si main ab ye kehne ke liye
tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
ho zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
aisa laga mujhe pehli dafaa tanha main ho gaya yaara
hu pareshan sa main ab ye kehne ke liye
tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
wo oo tu zaroori, tu zaroori
sa hai mujhko, sa hai mujhko
zinda rehne ke liye, zinda rehne ke liye

dhadke aankhon me dil mera jab qareeb aau tere
dekhu main jab bhi aaina ha tu hi rubaru rahe mere
ishq ki mauj me aa, aaja behne ke liye
tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
wo oo tu zaroori, tu zaroori
sa hai mujhko, sa hai mujhko
zinda rehne ke liye, zinda rehne ke liye
tu zaroori

maangu na koi aasma du sitaaro ka jahaa
ban ja tu mera humsafar na mujhe chahiye koi muqaam
dil hi kaafi hai tera mere rehne ke liye
tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
tu zaroori, tu zaroori
sa hai mujhko, sa hai mujhko zinda rehne
ho tu zaroori sa hai mujhko zinda rehne ke liye
tu zaroori
Mareez-E-Ishq
Singer: Arijit Singh
Music: Sharib Toshi
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zid(2014)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zid/Mareez---E---Ishq/NT0gBSRhZVo
Video:
mareez-e-ishq hu main, kar de dawaa
mareez-e-ishq hu main, kar de dawaa
talab hai tu, tu hai nasha
gulaam hai dil ye tera
khulke zara jee lu tujhe
aaja meri saanso me aa
talab hai tu, tu hai nasha
gulaam hai dil ye tera
khulke zara jee lu tujhe
aaja meri saanso me aa
mareez-e-ishq hu main, kar de dawa
haath rakh de tu dil pe zara
haath rakh de tu dil pe zara

tujhe mere rab ne milaya
maine tujhe apna banaya
ab na bichadna khudaya
tujhe mere rab ne milaya
maine tujhe apna banaya
ab na bichadna khudaya
mohabbat rooh ki hai laazim riza
haath rakh de tu dil pe zara
haath rakh de tu dil pe zara

chaha tujhe maine wafa se
maanga tujhe maie duaa se
paaya tujhe teri adaa se
chaha tujhe maine wafa se
maanga tujhe maine duaa se
paaya tujhe teri adaa se
karam hadh se hai zyaada mujhpe tera
haath rakh de tu dil pe zara
haath rakh de tu dil pe zara
haath rakh de tu dil pe zara
Tu Zaroori-1
Singer: Sharib Sabri
Music: Sharib Toshi
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zid(2014)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zid/Tu-Zaroori-Male/NQ9GcBJgZl0
aisa laga mujhe pahli dafa
tanha main ho gaya yara
ho aisa laga mujhe pahli dafa
tanha main ho gaya yara
hu pareshan sa main ab ye kahne ke liye
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
hmm tu zaruri
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
aisa laga mujhe pahli dafa
tanha main ho gaya yara
hu pareshan sa main ab ye kahne ke liye
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
wo o tu zaruri
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye

dhadke aankho me dil mera jab karib aau tere
dekhu main jab bhi aaina ha tu hi rubaru rahe mere
ishq ki mauj me aa, aaja bahne ke liye
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
ha tu zaruri
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
tu zaruri

maangu na koi aasma tu sitaro ka jahan
ban ja tu mera humsafar
na mujhe chahiye koi muqam
dil hi kafi hai tera mere rahne ke liye
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
ho o o tu zaruri
tu zaruri sa hai mujhko zinda rahne ke liye
tu zaruri, tu zaruri
Zid - Title Track
Music: Sharib Toshi
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Zid(2014)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zid/Zid/Nz8kdxlxUUM
chahu tujhe khud se siva, mujhse zyada tu hai mera
dil ki yeh zid bhi hai hoke rahe tu bhi mera
aa main ho jaau tu, nazre mila
main tujhko nazar aau tujhme bhi
chahu tujhe khud se siva, mujhse zyada tu hai mera
dil ki ye zid bhi hai hoke rahe tu bhi mera

mera hai tu bas hai mera, kahi bhi ja mujhme hi aa
patthar hu main aa tod ke tu aaina bana mujhe zara
o chahu tujhe khud se siva, mujhse zyada tu hai mera
dil ki yeh zid bhi hai hoke rahe tu bhi mera

aayega jo apne darmiyaan gir padega uspe aasmaan
ha ha re ha
aa kare gunaah chal kahi hum koi farishta toh nahi
na na re na
kyu na ho jaaye sang, hum khud hi me khatam
chaahu tujhe khud se siva, mujhse zyada tu hai mera
dil ki ye zid bhi hai hoke rahe tu bhi mera
Aur Kuchh Din
Singer: Sonali Rathod
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zikr-Tera/Aur-Kuchh-Din/HVoRcz4AXH4
Video:
aur kuchh din yahan rukane ka bahana milta
aur kuchh din yahan rukane ka bahana milta
is naye shahar mein koi to purana milta
aur kuchh din

sath rahne ki chukai hai badi kimat bhi
sath rahne ki chukai hai badi kimat bhi
chhod dete jo tujhe hum to jamana milta
aur kuchh din yahan rukane ka bahana milta
is naye shahar mein koi to purana milta
aur kuchh din
Haathon Mein Haath
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zikr-Tera/Haathon-Mein-Haath/B1xeejpYeH8
Video:
kuchh is tarah se mile hum ke baat rah jaye
kuchh is tarah se mile hum ke baat rah jaye
bichad bhi jaye to hatho me hath rah jaye

main so raha hun tere khab dekhne ke liye
khuda kare meri aankho mein raat rah jaye
khuda kare meri aankho mein raat rah jaye

lavo se chhu ke tera naam gungnaye hum
hamare sath gajal ki barat rah jaye
bichad bhi jaye to hatho me hath rah jaye
kuchh is tarah se mile hum ke baat rah jaye
Zamin Ko Aye Khuda
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zikr-Tera/Zamin-Ko-Aye-Khuda/KgQsSCEAZgc
Video:
jami ko ae khuda vo jaljala de
jami ko ae khuda vo jaljala de
nisa tak sharhado ke tu mita de
jami ko ae khuda vo jaljala de

mohabbat me badal jaye siyasat
mohabbat me badal jaye siyasat
khuda lahour dil se mila de
khuda lahour dil se mila de
jami ko ae khuda vo jaljala de
nisa tak sharhado ke tu mita de
jami ko ae khuda vo jaljala de
Zarurat Uski
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: other
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Zikr-Tera/Zaroorat-Uski/JgBZVA5WTR4
Video:
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
kuchh dino ke liye main bhi tha jarurat uski
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski

jisko duniyan ki nigahon se chhupa rakhha hai
meri gajalo me najar aati hai surat uski
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
kuchh dino ke liye main bhi tha jarurat uski
rukh badalate huye mousam si hai fitrat uski
Khudara
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Mulk(2018)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mulk/Khudara/BVgtVyAFBAQ
Video:
Mujhe baksh de, mujhe bakhsh de
Ya mere ghafoor-ur-raheem

Main reza reza bikhar raha hoon
Sambhaal mujhe
Andhera mujh mein utar raha hai
Ujaal mujhe

Main reza reza bikhar raha hoon
Sambhaal mujhe
Andhera mujh mein utar raha hai
Ujaal mujhe

Main khud se bichhad gaya hoon
Jaise aag se dhuaan
Naa zameen na aasmaan hai
Yeh main aa gaya kahaan..

Mujhe mera pata de khudara
Koi rasta bata de khudara
Mujhe mera pata de khudara
Koi rasta bata de khudara

Aaya kahaan se itna zehar lahu mein
Ganga ka paani behta tha mere vazu mein
Jo dikhta hai woh mera wajood nahi
Aaj main apne aap mein kyun maujood nahi

Woh nahi tha jab humara
Toh uska gham hai kyun
Dil jal raha hai lekin
Yeh aankh namm hai kyun

Mujhe mera pata de khudara
Koi rasta bata de khudara
Mujhe mera pata de khudara
Koi rasta bata de khudara

Le le meri saansein mujhko mar jaane de
Jaane kab se be-ghar hoon ab ghar aane de
Kaabe tak tujhe main sochun
Tera khayal karun
Saamne aa main tujhse ek sawal karun

Main ghalat hoon ya ke duniya
Yaa kahin ghalat hai tu
Mujhe de jawaab maula
Main hoon tere rubaru..

Mujhe mera pata de khudara
Koi rasta bata de khudara
Mujhe mera pata de khudara
Koi rasta bata de khudara.
Piya Samaye
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Mulk(2018)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mulk/Piya-Samaye/IDo,VxFofUM
Video:

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5.00 out of 5)
More piya, more piya
More piya re, piya…
More piya more
More piya, more piya
Ho more piya
More piya…

Sab sakhiyon ka piya pyaara
Sab mein hai aur sabsoon nyaara
Sab sakhiyon ka piya pyaara

Sab sakhiyon ka piya pyaara
Sab mein hai aur sabsoon nyaara
Sab sakhiyon ka piya pyaara
Sab mein hai aur sabsoon nyaara

Bhaa giya, mujhe ye bha
Jaagi hai milne ki chah

Sab sakhiyon ka piya pyaara
Aa…
Sab sakhiyon ka piya pyara
Sab mein hai aur sabsoon nyaara
Sab sakhiyon ka piya pyara…

Hhoo…
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye

Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye

Ni sa sa ni sa re sa
Ni sa sa ni sa re sa
Ma pa dha pa ma ga re…

Ni sa sa ni sa re sa
Ni sa sa ni sa re sa
Ma pa dha pa ma ga re…

Ho…

Saat rang hain saaton piya ke
Dekh sakhi kabhi tu bhi laga ke
Saat rang hain saaton piya ke
Dekh sakhi kabhi tu bhi laga ke

Saaton se mil ke…
Saaton se mil ke bhayi main ujhli
Koi hara koi gerua bataaye



Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye

Ho…
Kashi bhi mujh mein…
Kaaba bhi mujh mein
Ghee mora dar, mori chaukhat
Ishq hai more… piya ka mazhab
Kehu se mora, kahe ka jhanjhat
Kahe ka jhanjhat



Mandir ke chhajje ki main goreya
Peepal hai mora rain basera
Masjid ke gumbaj ki main kabootar
Main jo udun to hove sawera

Tu hai aisi rangaani
Bhayi na purani
Indra dhanush hai mori chunariya
Piya ko more mehu na dekhun
Dekhe magar more mann ki nazariya…
More mann ki nazariya…

Ho…

Saat rang hain saaton piya ke
Dekh sakhi kabhi tu bhi laga ke
Saat rang hain saaton piya ke
Dekh sakhi kabhi tu bhi laga ke

Saaton se mil ke…
Saaton se mil ke bhayi main ujhli
Koi hara koi gerua bataaye

Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye
Piya samaye, piya samaye
Jiya mein more piya samaye.
Thenge Se
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: Mulk(2018)
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Mulk/Thenge-Se/JBoFB0BDfEQ
Video:

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (2 votes, average: 4.50 out of 5)
Saiyyan ne pyar maanga
Dil ka karar maanga
Sautan ko nakdi di
Humse udhar maanga

Chor ki dadhi thi
Dadhi mein timka tha
Saiyyan bedardi to
Ghode sa hinka tha
Pakdi kalayi thi
Ankhiyan dabayi thi
Saiyyan miyan hamre lagte the
Bhenge se, bhenge se.
Bhenge, bhenge, bhenge se

Main boli thenge se
Main boli thenge se
Main boli thenge se

Main boli thenge se
Main boli thenge se
Main boli thenge se

Saiyyan ne hath maanga
Do pal ka sath maanga
Hum thode sharmaye
Kuch aisa raat maanga

Dekha mein bhole the
Par mann ke dole the
Yeh mughal-e-azam ho
To hum bhi sholay the

Unne jo chheda tha
Humne khadeda tha
Chipki thi unki nazrein humre
Lehnge se, lehnge se
Lehnge, lehnge, lehnge se

Main boli thenge se
Main boli thenge se
Main boli thenge se

Main boli thenge se
Main boli thenge se
Main boli thenge se



Begum se humne jo
Thoda sa pyar manga
Badle mein begum ne
Meena bazaar maanga

Sone ka baala ho
Motiyan ki mala ho
Heere ki jhunni ho
Chandi ka jhala ho
Taare dupatte pe
Sab kuch tha batte pe
Yun shauk begum bola ke the
Mehange se, mehange se
Mehange, mehange, mehange se



Main bola thenge se
Main bola thenge se
Main bola thenge se

Main bola thenge se
Main bola thenge se
Main bola thenge se.
Kahab Toh
Singer: Sayani Gupta
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/kahab-toh/GxoEVh0FTl8
Video:
Kahab toh lagi jaayi dhak se dhak se
Kahab toh lagi jaayi dhak se dhak se
Kahab toh lagi jaayi dhak se dhak se
Kahab toh lagi jaayi dhak se dhak se

Bade bade logan ke mahla do mahla
Bade bade… Bade bade haa
Bade bade logan ke mahla do mahla
Bade bade logan ke mahla do mahla
Aur bhaiya jhoomar alag se alag se
Aur bhaiya jhoomar alag se alag se
Bade bade logan ke haluwa paratha
Bade bade… Bade bade haa
Bade bade logan ke haluwa paratha
Bade bade logan ke haluwa paratha
Aur mineral water alag se alag se
Aur mineral…
Hamre gariban ke chatni aur roti
Hamre gariban ke chatni aur roti
Hamre gariban ke chatni aur roti
Paani piye balu wala nal se nal se
Paani piye balu wala nal se nal se
Paani piye…
Paani piye balu wala nal se

Bade bade logan ke school college
Bade bade… Bade bade haa
Bade bade logan ke school college
Bade bade logan ke school college
Aur bhaiya tution alag se alag se
Aur bhaiya tution alag se alag se
Kahab toh lagi jaayi… Dhak se
Kahab toh lagi jaayi… Dhak se.
Intezari
Singer: Armaan Malik
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/intezari/GB0ZQQQEQgA
Video:
Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri
Woh jo hum roye saath thhe
Bheege din aur raat thhe
Khaare khaare paani ki kahani woh leja na

Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka maza hai
Zabaan pe ab bhi taaza saathiya
Chand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha saathiya

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka maza hai
Zabaan pe ab bhi taaza saathiya
Chand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha saathiya

Ho.. kabhi yunhi takna tujhe, yunhi dekhna
Kabhi baithe baithe yunhi tujhe sochna
Wo pal qaraar ke, woh jo the lamhe pyaar ke
Unhe mere khwabon se khayalon se le jaa na

Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri

Kabhi roothna woh tera kisi baat par
Kabhi hanske taali dena mere haath pe
Thode shikve kuch gile
Woh jo thhe apne silsile
Toote huve waade woh iraade woh le jaa na

Aa na.. aa bhi jaa na intezari hai teri
Le ja.. jo rishton ki rezgaari hai teri

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka mazaa hai
Zubaan pe ab bhi taaza saathiya
Chaand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha saathiya

Daant kaate, sang baante
Khatte meethe ka mazaa hai
Zubaan pe ab bhi taaza saathiya
Chaand dekha tha jo humne
Chaar aankhon se kabhi
Kaise dekhun usko tanha saathiya.
Aanewale Kal
Singer: Rahul Jain
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: 1921(2018)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/aanewale-kal/RVpdBB5iWng
Video:
Dil se mita ke har faasla
Main dilruba tujhse milne chala

Ban ja muhafiz mere khwab ka
Tu hai falak mere mehtaab ka

Mere andhere..mere ujaale…
Sab kuch hai mera tere hawaale
Mere andhere…mere ujaale…
Sab kuch hai mera tere hawaale

Leke tu mujhko apni baahon mein chal
Aye mere aanewale kal
Aye mere aanewale kal
Aye mere aanewale kal
Aye mere aanewale kal…

Jodi hai maine tujhse umeedein
Le le mujhe tu saath mein
Ban ke laqeerein qismat ki meri
Aaja tu mere haath mein

Ban ja muhafiz mere khwaab ka
Tu hai falak mere mehtaab ka

Mere andhere…mere ujaale…
Sab kuch hai mera tere hawaale

Leke tu mujhko apni baahon mein chal
Aye mere aane wale kal
Aye mere aane wale kal
Aye mere aane wale kal
Aye mere aane wale kal…

Sab se kataa hoon
Tujh mein bataa hoon
Meri kahaani mein hai tu
Meri hansi mein
Meri khushi mein
Aankhon ke paani mein hai tu

Ban ja muhafiz mere khwaab ka
Tu hai falak mere mehtaab ka

Mere andhere…mere ujaale…
Sab kuch hai mera tere hawaale

Leke tu mujhko apni baahon mein chal
Aye mere aane waale kal
Aye mere aane waale kal
Aye mere aane waale kal
Aye mere aane waale kal…
Kuch Iss Tarah
Singer: Arnab Dutta
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: 1921(2018)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/kuch-iss-tarah/QAAEUhV9YkU
Video:
Hmmm…

Kuch iss tarah
Kuch iss tarah
Ae raat tham zaraa
Kuch iss tarah

Kuch is tarah
Kuch is tarah
Ae raat tham zaraa
Kuch is tarah
Do jism se ek jaan mein
Dhal jaaye hum zara
Kuch iss tarah

Ye jo chand ik laqeer sa hai aasmaan par
Yunhi aankh mein meri reh chamakta raat bhar

Ae baadalon zaraa si tum se ilteja hai yeh
Fanaa na ho ummeed ke sitaare doob kar

Kuch iss tarah
Kuch iss tarah
Ae raat tham zaraa
Kuch iss tarah
Do jism se ek jaan mein
Dhal jaaye hum zara
Kuch iss tarah

Alvida humko kahe
Muskura ke maut bhi
Thodi si saansein chhupa le
Seene mein kahin

Jee le aa ikk raat mein
Umr bhar ki zindagi
Koi bhi pal reh na jaaye
Jeene mein kahin

Kuch iss tarah
Kuch iss tarah
Ae raat tham zaraa
Kuch iss tarah
Do jism se ek jaan mein
Dhal jaaye hum zara
Kuch iss tarah

Rooh ki parwaaz pe hai parindey ishq ke
Humko chaahat ki nazar se dekh aasmaan
Aankh mein jo ashq hai
Chand ko bhi rashk hai
Likh rahe hain pyar ki hum aisi daastaan

Kuch iss tarah
Kuch iss tarah
Ae raat tham zaraa
Kuch iss tarah
Do jism se ek jaan mein
Dhal jaaye hum zara
Kuch iss tarah.
Yaara Tu Mujhme
Singer: Arnab Dutta
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: 1921(2018)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/yaara/Nh1SbgB8cFo
Video:
Yaara tu mujh mein yun basa
Mujh mein rahi na meri jagah
Faila hai tu meri rooh tak
Tujh mein hi main jeene laga

Tu ab mein hai
Tu hi baad mein
Tu hi rubaru
Tu hi yaad mein
Jitna tha main tera ho gaya
Apna bhi main na rahaa…

Yaara tu mujh mein yun basa
Mujh mein rahi na meri jagah
Faila hai tu meri rooh tak
Tujh mein hi main jeene laga

Tu neend bhi
Hai khwaab bhi
Hai aankh mein meri
Teri hi aag jal rahi
Hai raakh mein meri

Hansu teri khushi mein
Tere gham mein roun main
Tere hi saath jaagun main
Tujhi mein soun main

Jeena mera… marna mera…
Tu hi toh hai ab mera
Tu jo nahin kuch bhi nahin
Tu hi toh hai sab mera

Yaara tu mujh mein yun basa
Mujh mein rahi na meri jagah
Faila hai tu meri rooh tak
Tujh mein hi main jeene laga

Chale tu meri saans mein
Safar tera hoon main
Tu chhod ke na jaana mujh ko
Ghar tera hoon main

Rahega mere saath mujhse
Waada kar le tu
Aaj mujhse pyaar thoda
Zyada kar le tu

Tere bina kya hai mera
Tu hi toh jahaan mera
Meri zameen mera yaqeen
Tu hi aasmaan mera…

Yaara tu mujh mein yun basa
Mujh mein rahi na meri jagah
Faila hai tu meri rooh tak
Tujh mein hi main jeene laga

Tu ab mein hai
Tu hi baad mein
Tu hi rubaru
Tu hi yaad mein
Jitna tha main tera ho gaya
Apna bhi main na rahaa…

Yara tu mujhme yun basa
Mujhme rahi na meri jagah
Faila hai tu meri rooh tak
Tujhme hi main jeene laga.
Sunn Le Zara
Singer: Arnab Dutta
Lyricist: Shakeel Azmi
Album: 1921(2018)
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/sunn-le-zara/Qg0KYiEdXmM
Video:
Ae dil thahar jaa
Jeene ki koi tu wajah dhoondh le
Ghabra naa gham se
Apni khushi ka tu pata dhoondh le

Tu pyaar kar
Izhaar kar
Hai pyaar hi gham ki davaa…

Sunn le zara
Sunn le zara
Ae mere dil sunn le zara

Sunn le zara
Sunn le zara
Ae mere dil sunn le zara

Haathon mein tere rekhaaon sa main
Lafzon mein apne bunn le mujhe

Aawaaz kya doon, main be-sadaa hoon
Dhadkan mein apni sunn le mujhe

Main zindagi hoon, jee le mujhe tu
Aansun hoon tera, pee le mujhe

Main khwaab jaisa toota hoon tujhme
Bikhra hoon tujhme chunn le mujhe

Dekh le tujhme hoon main
Tu hi mera hai aainaa

Sunn le zara
Sunn le zara
Ae mere dil sunn le zara

Sunn le zara
Sunn le zara
Ae mere dil sunn le zara.
Majboor Tu Bhi Kahi
Singer: Amit Mishra
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/majboor-tu-bhi-kahin/GC8-YSIJUAs
Video:
Kehta hai, hai zindagi tu
Kyun mujh mein phir milta nai
Deta hai aisa safar kyun
Hai manzile jinki nahin

Kehde khuda.. hai kaisa khuda tu
Jo bus mein tere kuch nahi
Han koi to vajah hogi jo yun
Hai majboor tu bhi kahin

Jitna talashu tu milta nahi
Yeh fitrat teri tu badalta nahi
Jitna talashu tu milta nahi
Yeh fitrat teri tu badalta nahi
Tu bata, aise kyun
Teri marzi chalata hai tu
Jeete ji yun jalata hai tu

Ishq mein jeene na de tu
Aur marne bhi deta nahi
Kehta hai, hai humsafar tu
Phir saath kyun deta nahi
Kya hai khafa, hai ya bewafa tu
Jo sunta meri kuch nahi
Haan koi to vajah hogi jo yun
Hai majboor tu bhi kahi

Kehde khuda.. hai kaisa khuda tu
Jo bus mein tere kuch nahi
Han koi to vajah hogi jo yun
Hai majboor tu bhi kahin.
Khud Ko Tere
Lyricist: Shakeel Azmi
Tag: hindi
Audio: https://www.jiosaavn.com/song/khud-ko-tere/BlEyAz5AWVY
Video:
Tum bhi tanha the
Hum bhi tanha the
Milke rone lage

O..tum bhi tanha the
Hum bhi tanha the
Milke rone lage
Ek jaise the dono ke gum
Dagaa hone lage

Tujhme muskurate hain
Tujhme gungunaate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain
Tere hi khyalon mein
Doobe doobe jaate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain

Thode bhare hain hum
Thode se khaali hain
Tum bhi ho uljhe se
Hum bhi sawaali hain

Kuch tum bhi kore ho
Kuch hum bhi saare hain
Ek aasmaan par hum
Do chand aadhe hain
Kam hai zameen bhi thodi
Kam asmaan hai
Lagta adhoora
Tum bin har jahaan hai

Apni har kami.. mein hum
Ab tujhe hi paate hain
Khud ko tere pass hi
Chhod aate hain

Jitni bhi viraani hai
Tujhse hi sajate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain

Do raaz milte hain
Hum raaz bante hain
Sannate aise hi..
Awaaz bante hain

Khamoshi mein teri
Meri sadaayen hain
Meri hatheli mein
Teri duayein hain
Ek saath tera ho toh
Sau manzile ho..
Tanhai teri
Meri mehfile hon

Hum teri nigahon se
Khud mein jhilmilate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain
Tujhse apni raaton ko
Subah hum banate hain
Khud ko tere paas hi
Chhod aate hain.